
Phly apni jild ki shakaht janey.oil waly foundation dry skin
k liey theak hain kiun k ye jild ko moisturizer krty rhty hain.dusri taraf oily
skin walun k liey wateriest foundation nihayt munasib hain.agr qudrat nay apko
normal skin sy nawaza hay to app koi sa bhi foundation istamal krny main azzad
hain.
Foundation k shade ko janchnay ka assan tareqa ye hay k
jaalatan k qareeb lagain. Ap yehe amal apni kalai k ander ki taraf or gallun
per bhi kar sktin hain. Hath ki pushat par laga foundation ko check krnay ki
galti hergiz na krain. Hath ki pushat cahrey ki jild say kahi zeyada dark or
hard hoti hay. Agr apny ye tariqa apna liya hay to ye bat tpaki hy k ap galat
foundation ka intakhab kr bethin hain.

No comments:
Post a Comment